Romantic

Tujh Seene Se Laga Kar,Apni Aarzoo Bana Loon,
Aankhon Mein Dekh Teri Kuch Tamanna Jaga Loon,
Mita Do Aaj Faasle Dono Ke Darmiya
Or Aaj Khud Ko Tera Or Tujh Apna Bana Loon..💖


Puchho Mere Dil Se Tumhe Paigam Likhta Hun,
Saath Guzari Baatein Tamaam Likhta Hun,
Deewani Ho Jati Hai Wo Kalam Bhi,
Jis Kalam Se Tumhara Naam Likhta Hun..💖


Hum Taras Gaye Aapke Deedar Ko,
Phir Bhi Dil Aap Hi Ko Yaad Karta Hai,
Humse Khushnaseeb To Aapke Ghar Ka Aaina Hai,
Jo Har Roz Aapke Husn Ka Deedar Karta Hai..💖💖